oneSickPuppy
Storyteller
Meri aankh tab khuli jab sarvesh ne kaha” premi joda...uth jayo..gaon aa gaya”
Mai uthi aur bahar dekhne lagi. Ek board pe likha tha “Mulegaon (Solapur)
Part 15.....
Ramu muhje dekhta bola” bas 10-15 min mein ghar pahunch jayege” Maine haan mein sar hila diya. Tabhi maine dekha Shanta bai ki call aayi hai.
“Madam app aaj jaldi office chale gayi thi kia....app mili nhi toh thoda fikar ho gaya”
Maine jawab diya”haan haan mai theek hoon. Mai aur Ramu inke goan jaa rahe hain. Aayi ne bulaya tha dono ko”
Shanta bai mujhe thoda sa gussa hote huyi” app gayi toh aachi baat hai...par mere ko kyu ni bataya”
Maine kaha” woh achanak se jaane ka ban gaya toh jaldbaazi mein bhool gayi”
Shanta bai” mai boli thi na ke mai karegi sab riti rivaz”
Maine kaha” toh kar lena na...maine kab roka hai”
Shanta bai “ madam jab patni pehli baar aapne sasarachya gharat jaati hai toh kuch rasmain hoti hain”
Mai “ kia mai samjhi nhi”
Shanta bai”patni jab pehli baar apne susraal jaati hai toh kuch rasmain hoti hain”
Maine kaha “ ohhhhh....toh abb?”
Shanta bai” Mai batati hai” aur fir ussne mujhe kuch rasmo ke baare mein bataya. Sab riti riwaz same hee the jaise hamare sih punj*i culture mein hote hain...bas naam aur vidhi mein thoda sa hee antar tha.Jaise hee unse phone rakha to maine Ramu se pucha” yaha koi market hai kia”
Ramu bola” hai chota sa market....par waha tere layak kuch nhi milega”
Mai boli” koi baat nhi...mujhe le chalo”
Fir hum pehle market gaye....Ramu aur sarvesh apne ek purane dost ki dukan pe chale gaye usse milne.. aur maine Shanta bai ke kahe anusar kuch saman kharedane lag gayi ek general store mein. Dukandaar bhi mujhe dekh raha tha ke mai usski dukan pe pade sabse mhenge waale item hee khareed rahi. Maine saman uthaya aur wapis taxi ki taraf chalne lagi. Ramu dodta huye aaya aur saman pakad liya.
Ramu mere saath saath chalte pucha” kia hai iss mein”
Maine bola” kuch nhi chalo ghar chalte hain”
Hum chale aur ghar ke samne punche. Maine jhat se apni saree ka pallu apne sar pe kar liya aur hum taxi se nikal ke ghar tak pahunche.
Maine dekha Ramu ke ghar ke bahar kuch aurtain aur bacche khade the. Ramu me aage jaakar sab ke pau chune shuru kar diye. Abb yeh toh hamare gharo mein bhi chalta hai toh maine bhi ussi tarah se sab ke pair chuye.
Fir Ramu apni aayi ke pass gaya aur mujhe dekhta bola “ yeh meri aayi hai”...mai dubara se aayi ke pass gayi aur fir se jhuk kar apne pair chuye toh aayi ne mujhe apne gale laga liya aur boli” nehami anandi raha”...mai samajh gayi ki aayi mujhe ashirwad de rahi hai aur maine bhi aayi ko bade pyar aur satkar ke sath gaale lagaya.Ramu ne fir 20-22 saal ko ek larki ki taraf ishara karte kaha” yeh Choti meri behan”
Choti dodti huyi aayi aur mujhe gale laga ke boli” re deva hamari vahini atishay sundar aahe” maine bhi usse zor se hug kar liya. Mai yeh bhi samjh gayi ke ussne mujhe sundar bola hai.
Ramu ne fir mujhe aur aurto se bhi milya. Ramu ke baatne se mai samjh gayi ke yeh sab log Ramu ke padosi hain. Ramu ne kissi ko mere baare mein nhi bataya kyuki aayi ne sab ko bata hee rakha tha ke Ramu apne hone wali patni ko milane laa raha hai. sab aurate mujhe nihar rahi thi aur apas mein marathi mein fussfasa rahi thi ... jo maine suna aur uss se andaja lagaya ke koi keh rahi hai “kitni sundar hai”...koi “Ramu kitna lucky hai”....”koi “ saare sholapur mein sabse khoobsurat hai”.....
Khair choti ne jhat se mera hath pakda aur boli” meri pyari vahini chalo apne ghar ke andar” aur poora mere sath sat kar chalne lagi. Mai jaise hee sharmate huye usske sath chalne lagi to choti ne Ramu ki taraf dekh kar muh banaya aur apni jeeb nikal kar usse chidane lagi....jaise keh rahi ho ke meri bhabhi pe abb mera adhikaar hai aur tum nikalo yaha se. Jab maine choti ko yeh karte dekha toh sharmate huye neeche dekhte muskara dee.
Jaise hee hum darwaze ke samne gaye to dekha Ek aurat ne aayi ko ek phoolo se bhari thali laakar dee. Thali ke beecho beech ek diya jal raha tha aur ek katori mein tilak ka saman tha. Aayi ne hamari aarti uttari aur hamare maathe pe tilak lagaya.
jaise hee mai darwaze se andar ghusi to dekha ek thali zammen pe padi hai aur uss main dudh aur pani bhara huya hai. Choti boli” meri pyari pyari vahini , app thali mein khade ho jao” mai jakar khadi ho gayi tou aayi ne halke se hath se mere pair dhoye. Fir choti ne Ramu ko bola” bhau, ikade ye” mai samjh gayi ke woh inko bula rahi hai. Aayi ne waise hee inke pair bhi dhoye.
jaise hee hum aage bade to zameen pe ek kalask pada tha aur uss mein chawal bhare huye the aur uppar kuch patte aur phool ek nariyal ke sath rakhe huye the. Maine apne dehne pair se ussko gira diya. Hamare culture mein bhi yeh dono rasme hoti hain par kuch parivar yeh karte hain aur kuch nhi. Toh yeh sab mere liye koi naya nhi tha.
Abb hum aage bade aur waha par ke lakdi ki kuch charpai jaise tha jiss par lal rang ki nayi see chaddar bichi huyi thi. Aayi ne hume uss pe baith ne ko hkaha. Jaise hee mai baithi choti jhat se meri baah pakad ke apna sar mere kandhe se lagakar baith gayi aur apne taange hawa mein jhulane lagi, Mai toh simti see dubki see sharma kar inke sath satt kar baithi thi. Sab log aakar aas paas khade ho gaye.
Kuch aurte mujhe marathi main sawal puchne lage toh choti boli” kaki mazi vahini panjabi aahe.... tyala marathi yet nahi” abb mai isska bhi matlab assani se samjh gayi. Fir aayi aur kuch ek aurte ek mithai ki plate le aayi aur Ramu ko boli” baykoche tond god kara”...abb mai iska matlab na samjh saki par dekha Ramu ne ek barfi ka tukda uthaya aur mujhe khane ke liye bola. Maine ek halka sa bite khaya bahut sharmate huye.
Ramu ne baccha huya tukda mujhe diya. Mai janti thi ke kia karna hai aur maine wahi tukda Ramu ki taraf kar diya. Ramu ne ek chota sa tukda khaya to jhat se choti udhi aur mere hath se bacha huya tukda lia aur boli” abb meri baari.... “ aur tukda meri taraf badate huye kha “ meri pyari aur sundar vahini ke liye”. Maine fir chota sa tukda khaya to bacha huya tukda choti Ramu ki taraf karke boli” chal bhau, tumhipan kha” aur Ramu ne bacha huya tukda khaa liya.
Tabhi maine dekha aayi ek plate mein kuch lekar aayi aur meri godh mein thali rakh dee. Maine dekha uss mein ek laal rang ki saree jisska boarder hara tha, bahut see churiya, ek nariyal do hisso mein kata huya aur kuch aur bhi saman tha. Thali rekhne ke baad aayi ne mere sar pe hath rakh kar mujhe ashirwaad diya.
Abb maine choti ke kaan mein kaha ke mere saman se jo neele rang ka packet hai woh le aa. Choti jhat se gayi aur packet le aayi. Maine usse khola aur aur jo saree maine aayi ke liye general store se khareedi thi woh unke par chute huye unko de dee. Aayi ne fir se mujhe ashirwaad diya aur apne gale lagaya. Mai dubara se baith gayi. Aur dusara packet jiss mein marathi style silk ki saare thi aur kuch makeup ka saman aur artificial gahne..woh choti ko diya. Choti khushi se kood uthi aur mujhe bade zor ki jaffi daal lee. Mainebhi uska matha chooma aur maskara padi.
Usske baad aurto ne mil kar kuch marathi shaadi wale songs gaye...jo mujhe bilkul bhi samjh nhi aaye. Fir choti ne ek marathi song pe chota sa dance kiya. Usske baad choti ne ek aur marathi song lagaya aur mera hath pakad ke mujhe khada kiya aur dance karne lagi. Mai bhi sharmati thoda bahut uska sath dene lagi. Choti ne fir inko bulaya aur mera hath inke hath mein de kar hume dance karne ko boli. Yeh to jaise issi mauke ki talash mein the...jhat se mera hath pakda aur dance karne lage....mai toh sharm se pani pani ho gayi par jaise taise maine thoda sa dance kiya. Sab log hasne lage... Fir sab mil kar naachne lage....
Bas kuch aisse hee chalta raha kafi der....abb shaam ke 7-8 baj chuke the. Aayi aur aurte ek hee thali mein khana leke aayi mere aur Ramu ke liye. Uss meinmutton, chicken, dal, raita, papad, roti, rice aur shrikhand ki katoriya thi ...sath mein ek plate me fried fish bhi thi. Ramu ne thali pakadi aue meri taraf dekha kyuki usse pata tha ke mai mass machli nhi khaati. Maine bade pyar se ishare ke sath inko kaha ke koi baat nhi app mujhe khila do.
Abb yaha ke rivaz ke anusar haath se khana tha aur apne hath se hee khilana tha. Mai jab bhi apne hath se inko khilati yeh jaan bujh ke meri ungliya bhi chaat jaate aur mai sharma ke reh jaati. Ek baar mujhe bhi sharat sujhi aur jab inhone ne mujhe khilaya toh maine inki ungli ko chakki maar dee...yeh jor se “aayi” chilaye aur apne hath ko hilane lage. Yeh sab dekh kar sab aurte zor zor se hass padi. Aayi inki chekh sun kar duadti aayi aur puchne lahi kia huya. Mai muskarati sharmati inki ankhoo mein dekhne lagi....jaise keh rahi thi ke “aayi app ke bete ko sabak sikhy hai”
Yeh bhi meri aankho mein asse dekh rahe the ke jaisse keh rhe hoon”udd le jitne udna hai...shanivaar raat ko tere aisse par kutruga ga ke sari raat mere se rehm ki bheekh mangti rahegi”
Innho ne bas mujhe vegetarian hee khilaya par maine inko non veg sab khilaya. Inki yeh cheez mujhe fir se acchi lagi ke inhone mujhe veg hee khilaya aur sab ka maan bhi rakh lia.
Aayi, chotti, inka aur aayi huyi dusari mehlayo ka mere prati pyar aur satkar dekh kar mai itna emotional ho gayi thi ke aaj agar yeh mujhe non veg bhi khilate toh mai khaa jaati. Innho ne yeh nahi kia aur meri izzat aur pyar inke prati bahut bad gaya. Fir baaki logo ne bhi khana khaya aur chale gaye.
Abb mai, yeh, choti aur aayi hee ghar pe reh gaye.